Facebook Account Delete Kaise Kare (How to delete facebook account permanently in Hindi)?: Kya Apko Facebook Id Delete Karna Hai? Aur Apko Facebook Id Delete Option Nahi Mil Raha hai? Agar Han To Aap Is Article Ko Acche Se Padhe.
Aaj Is Post Me Facebook Account Permanently Delete Kaise Kare? Puri Jankari Hindi Me Sikhenge. Dosto apko toh pata hi hai Facebook kitna Popular Social Networking site hai.
Aur abhi toh bhut use facebook ke sath hamesha chipke rahte hai. Matlab din me jo bhi karega oh sabke sath facebook par Share jarur karega.
Jaise ki Subeh uthke sabse pahle Good Morning, Day Plan, Kiya Khaya, Kaha Giya, Selfie Upload wagaira, matlab ke dinbhar 10-20 post karna hi hai. Aur phir post upload karne ke bad FB Post Par Likes, Comments, Share ko leke toh or bhi pagal rahte hai.

Agar Aap Yeh Sabse Boring Ho Gaye Ho Aur Janna Chahte Ho “Permanently Facebook Account Delete Kaise Kare“. Yani Hamesha Ke Liye FB ID Delete Karne Ka Tarika Janne Ke Liye Niche Bataye Gaye Steps Ko Follow Kare. Usse Pehle Ham Jan Lete Hai Facebook Account Delete Karne Se Kya Hoga.
Facebook Account Ko Permanently Delete Karne Se Kya Hoga?
- Jab Aap Facebook Account Ko Delete Karenge. 30 Din Ke Baad Apke Account Aap Khud Access Nahi Kar Payenge.
- Fb ID Permanently Delete Karne Ke Baad Recover Yani Reactivate Nahi Kar Sakte Hain.
- Apke Jitne Bhi Photos, Videos, Status Daali Hui Hai, Woh Sab Bhi Permanently Delete ho jayega.
- Account Delete Hone Ke Baad Messenger Bhi Used Nahi Kar Payenge. Par Aab Jisko Messages Send Kiye Honge, Like Text, Images, Videos, etc. Receiver Sirf Dekh Sakta Hai.
Note: Agar Apko Temporary Facebook Account Delete Karna Hai. Sirf Kuch din Ya Month Ke Liye. To Aap “Facebook Account Deactivate Kaise Kare” Ye Post Padhe.
- Agar Apko Permanently ID Delete Karna Hai. To Aiye Ab Details Me Jante Hai. Facebook Account Permanently Delete Kaise Kare.
Permanently Facebook Account Delete Kaise Kare
Step 1. Login your Account
Sabse pahle aap Facebook me jake, Jis Account (ID) ko Delete karna chahte hai us ID ko Login Kare. Ya Phir Facebook par Click karke Directly ja sakte hai.
Step 2. Enter the Facebook Settings:
Ab Ap Right side ke arrow me click kare aur Setting me ok kare. Aur Phir Personal information me click karke Delete Facebook Account Par Ok Kare.
Ya Phir Directly Fb Id login ho giya hai. toh ab yaha Delete Facebook Account Permanently par Click kare.
Step 3. Tab Delete My Account:
Link par click karte hi apke samne Date My Account page agiya hai toh niche ki Delete My Account par Click kare. Samajh me nhi aye toh niche Screenshot dekhe.
- Android Mobile RAM Kaise Badhaye Without Root – Solution In Hindi
- Computer Me WhatsApp Kaise Chalaye
Step 4. Enter your password:
ab apke samne Permanently Delete Account ke ek new pop-up open hoke aagiya hai toh ya apko sabse pahle Password dena hai jo abhi apke facebook password hai. Phir niche ki Box me uper jo Captcha Code (Security) hai usko Type karke Ok par Click kare. kuch is tarah niche Screenshot dekhe.
Step 5. Confirm:
Ok par click karte hi apke samne permanently delete account ki or ek page open hoga usme apko ye kahega ke apke Facebook Account Permanently Delete ho giya hai per agar ap 14 Din ke ander chahe toh Cancel kar sakte hai. kheer Ok per click kare.
- Facebook Account Permanently Delete Ke Liye Schedule Kar Liye Hai. Issi Tarah Aap Facebook Account Delete Kar Sakte Hain.
- 14 Din Ke Bad Apke ID Hamesha Ke Liye Delete Ho Jayega.
Note:
- Top 5 Tips Mobile Battery Fast Charge Karne Ke Liye
- Mobile Ko Root Kaise Kare Without PC – Solution In Hindi
How To Delete Facebook Account Permanently Without Waiting 14 Days:
Agar aap chahte hai ke mujhe schedule me nhi rakhna hai, Matlab abhi Delete karna hai toh aap apke Facebook Account Login kare. Uske bad Apke samne kuch is tarah ke page ayega.
Yaha apko Confirm Deletion par Ok kar denge toh Apke Fb Account Permanently Delete ho jayega Bina (Without) 14 Days Waiting ke.
- Dosto me apko Suggest karunga ke jalbazi ya gusse se fb id delete na kare balke 14 ke schedule ke rakkhe kyu ki ho sakta hai apko bad me pachtawa ho Id delete karne se.
- kyu ki Facebook ek aysi Social Media ke site hai, Jispar Addicted hone ke bad chodna bhut muskil hai. baki apke margi.
Android Facebook Browser Se Fb Account Delete Kaise Kare?
- Sabse Pehle Facebook App Open Kare.
- Ab Apko Jis Account ko Permanently Delete Karna Hai Usko Login Kare.
- Now, Right Side Me Jo 3 “–” Ka Option Hai Uspar Click Kare.
- Thoda Niche Scroll Down Kare Aur “Settings & Privacy” Option Me Click Kare.
- Ab “Settings” Par Tab Karke “Personal Information” ki Option Par Ok Kare.
- Now, Delete Your Account and Information Me Click Kare.
- Ab Apko Password Dalna Hai Aur Submit Par Ok Kar Dena Hai.
- All Set! Apka Facebook Account 30 Din Ke Baad Permanently Delete Ho jayega.
Jio Phone Mein Facebook Account Delete Kaise Kare?
- Apke Facebook Account ID Password Dalke Login Kare.
- Login Ho Jane Ke Baad Yaha “Delete My Facebook Account” Par Click Kare.
- Ab Screen Ko Thoda Niche Scroll Karke “Delete Account” Par Ok Kare.
- Apke Fb Account Ke Password Dalke Continue Par Click Kare.
- FB id Delete Karne Ka Koi Ek Reson Choose Kare Aur Submit Kar Ok Kare.
- Done! Lijiye Apke Facebook Account Successfully Delete Ho Chuka Hai.
Facebook Lite Se Account Delete Kaise Kare?
- Top Bar Ke Right Corner Me Click Kare.
- Scroll down Karke Settings Par Ok Kare.
- Scroll down to the Your Facebook Information section and tap Delete Your Account and Information.
- Enter your password and tap Submit.
- All Set! Enjoy:) Now Your Facebook Account Successfully Deleted.
Read Other Facebook Tips and Tricks:
- Poke क्या है और कैसे Use करे?
- Facebook Password Change Kaise Kare – [Detailed Guide]
- FB Par Year In Review Video Kaise Banaye.
- Facebook Par Like Kaise Badhaye Mobile Se – Full Guide
- FB Business Page Kaise Banaye – Full Guide.
- Facebook Par Single Name Kaise Set Kare – Full Guide
- FB For Creator Kya Hai (What Is Facebook Creator In Hindi)?
- Facebook Account Deactivate Kaise Kare – Full Guide.
- Fb Auto Liker App Se Unlimited Likes Kaise Badhaye [100% Working].
- Facebook Account Safe Kaise Rakhe [Top 5 Secret Tips 2020]
- One-Click Me All Facebook Friend Request Accept Kaise Kare.
- Facebook Account Hack Hone Ke Baad Kya Kare | Security Tips
- FB Friends Ko Automatic Birthday Wish Karne Ka Tarika.
Conclusion:
Is Tutorial Me Hamne Sikha Facebook Account Delete Karne Se Kya Hoti Hai. Aur Permanently Facebook Account Ko Delete Kaise Kare. Without 14 Days Wait Karke Delete Kaise Kare. Yeh Bhi Jana.
Aur Iske Sath Facebook Android App Aur Lite App Se Facebook Account Ko Delete Kaise Karte Hai? Itna Hi Nahi. Agar Aap Jio User Hain. To Jio Phone Mein Facebook Account Delete Kaise Kare. Details Me Sikha.
I Hope Ye Post Apke Liye Helpful Rahega. So Apne Friends Me Sath Social Media Par Share Kare. Taki Sabke Help Ho.
Actually www.SolutionInHindi.com Isi Wajahse Banaya Giya Hai. Our Latest Update Ke Liye Abhi Subscribe Kare. Aur Facebook Page Like | Twitter Follow | LinkedIn Connection Kare.
Agar Koy Question Ka Answer Chahiye Computer, Mobile, Earn Money, Social Media, Internet Toh Facebook Group Aaj Hi Join Kare.
Published on: Dec 30, 2016, at 13:28
Update On: Dec 04, 2019, at 5:45 PM
wow….
Mujhe toh delete karna hai
Ok Thik Se Padhe Phir Kare. Agar kahi samajh me nhi aye toh jarur bataye.
Thanks Mara facebook account app ka solution in Hindi par s Mara Help hoya ha. !!!!!!!
very good
Sunke Khusi Hya. Thank You, Visit Again..
Thanks..
helpfull post for facebook users.
sir,I am a big fan of you, I see your post daily and get very good information.it, please approved it
This blog about Facebook Account (ID) Delete Kaise Kare Permanently.
has helped me enormously, is a very good topic.
Good information.