Aaj Ham Is Trick Me Janenge Computer / Laptop Ko Kaise Automatic Shutdown Ya Restart Kaise kare,
Kabhi Aisa Hota Hai Hamame Pc Me Kam Chal Raha Hota Hai Or Hame Kahi Ghumne Ya Kahi Kamse Janahi Padega, Our Yaha Hamare Pc Me Or Time Lagega Processing Complete Hone me, Tab Ham Gusse Se Kahte hai Yaar Itna Time Kyu Lagta hai.Uske Bad Ham Dhundte Hai Kya Kabhi Koy Option Hai Processing Complete hone Ke Bad Automatic Turn Off ho Jaye,Lekin Oh Bhi Nhi Janta.
Toh Dosto Aap Bhi Aagr Aisa Soch te hai Toh Tension Ki Koy Baat Nhi Is Trick Me 3 Tarike(Method) Bataunga Isko Janne ke Bad Aap Aapne Pc Chod Ke Kahi Bhi Jaa Sakte Hai Bina Koy Tension Ki.
Actually Kya Hai Na Dosto Niche Ki Sab Method Janne Ke bad aap Apne Friends Ko Bewakoof (Lol) Bana Sakte Hai,
Toh Chale Dosto Ham Ek Ek Karke 3 Method Janleta Hu,
#Computer Automatic Shutdown Ya Restart Kaise Kare#
No-1 Run Method
#Shutdown Kare
Step-1
Sabse Pahle Aap apne System Ke RUN ke Dialog Box ko Open kare-
RUN Open Karne Ke Liye WINDOWSKey + R Press Kare, Ya Phir Start me jane ke baad Search Kare RUN Uske bad RUN ko Open Kare..
Step-2
Ab Right Side Me Run Ke Dialog Box Open Hogiya Hai Toh Type Kare –
Shutdown -s -f -t 1800
Note:Last Me 1800 (Second) Iska Matlab 30 Minutes Aap apne Hisabse Second Calculate Karke Choose kare Apko Jitna Minutes Ya Hr Ke Bad Turn Off Karna Hai.
#Restart Kare
Step-1
Automatic Restart Karne Ke Liye Sabse Pahle Run Open kare Phir Type kare-
Shutdown -r -f -t 1800
Ya PhirShutdown -l -f -t 1800Dale Par A Sab System me kam nhi Karta.
Dosto Shortcut Method Bhi Bhut Hi Aasan Or Achcha Hai.
Isme Bar Bar Type Karna Nhi Padega, Bas Ek bar Shortcut File Create Karliye Toh hogiya.
Step-1
Toh Dosto Shortcut Create karne ke Liye Sabse pahle aap apne Desktop me Right Click Kare,Phir New Me Click Kare Phir Shortcut me Ok Kare.
Step-2
Ab Aap Ke Samne Create Shortcut ke Dialog Box Aagiya Hai,
Yaha Aapko Type Karna Hai-
shutdown -s -f -t 1800
Type karke Next kare
Step-3
Yaha Aap Shortcut File Name Dale Jaise Me Rakkha Shoutdown
Aapke File Name kuch bhi Rakh sakte hai. File Name Rakhke Finish Me Click kare.
Step-4
Jo File Create Kiye Job Usko Active Karne ke liye Sirf Aap ko File Me Double Click karne se Automatic Shutdown Active Ho Jayega And 30 Minit Ke bad Turn Off Ho Jayega.
Aap apne hisabse Second Calculate karle,
#Restart
Step-1
Restart Karne Ke Liye Desktop Me Right Click Kare Phir New Me Click Karke Shortcut Me Click Kare.
Step-2
Ab Create Shortcut Me Type Kare-
shutdown -r -f -t 1800 Type karke Next Me Click Kare.
Step-3
Yaha File Name Deke Finish Me Click Kare.
Ab Jabbhi Aapko TimingSet Karke Restart Karna Hai Bs File Me Double Click Kare
Toh Dosto Lijiye Ab Aapka Schortcut Automatic Restart File Bangiya..
No-3 # Notepad Method
#Shutdown Kare
Basically Notepad Toh Sabko Pata hi Hoga Toh Sabse Pahle Aap Notepad Open Kare, Aap agar Notepad Open Karna Nhi Jante He Toh Tension Ki Koy Bat Nhi,
Step-1
Notepad Open karne ke liye Start Me Click Kare Phir Search Kare-
Notepad
Step-2
Aab Aapke Notepad Open Hogiya Hai Toh Code Dijiye-
shutdown -s -t 1800
Step-3
Ab File Ko Ctrl + SPress karke Shutdown.bat deke Save As Type me All File Kare Phir Save me Click Kare.
Step-3
Ab jo File Save Kiye Usme Double Click Karenger Toh Active ho Jayega
Note: – Save File me Last me .bat dena hi hoga nhi toh Work nhi karega
#Restart Kare
Step-1
Notepad Me Code Dijiye-
shutdown -r -t 1800
Step-2
Ab File Ko Ctrl + SPress karke Restart.bat (.bat Extension Hai Dena Hi Padega) deke Save As Type me All File Kare Phir Save me Click Kare.
Step-3
Activate karne Ke Liye File Me Double Click Kare.
Dosto Aapko Kisi Method Me Ya kisi Step me Kahi Dikkat Aarahi Hai Toh Hame Comment karke Jarur Bataye,
I Hope Ke Is Trick Aapke Liye Helpful Rahega,
Our Aagar Aapko Mera a Post Achcha Laga toh Jarur Like kare Comment Kare or han Share kare Na Bhooly.
Aaplogo Ke Support Ke Bina Me Is Knowledge Ko Aage nhi Bada Sakta. So Friends Plz Share Kare Kyu Ke Jo Is Trick Ko Nhi Janta Oh AApke Wajahse Jan Sakta Hai.
Thank You A trick dene k liye..
Yaar Mera Bhut Jarurat Tha Auto Shutdown Karne ke liye..
Most Welcome..
Keep It Up
Very Interesting Computer tips.